jahāñ  dar  thā  vahāñ  dīvār  kyuuñ  hai
alag  naqshe  se  ye  me.amār  kyuuñ  hai
ḳhudā  āzād  thā  hākim  kī  had  se
ḳhudā  ke  shahr  meñ  sarkār  kyuuñ  hai
bahut  āsān  hai  mil-jul  ke  bahnā
nadī  aur  dhaar  meñ  paikār  kyuuñ  hai
hazāroñ  rañg  ke  phūloñ  se  khiñch  kar
banā  hai  shahd  to  bekār  kyuuñ  hai
kisī  bhī  samt  se  aa  kar  parinde
sajā.eñ  jhiil  to  āzār  kyuuñ  hai
tirī  mahfil  meñ  sab  baiThe  haiñ  aa  kar
hamārā  baiThnā  dushvār  kyuuñ  hai
banā  kar  rakh  tū  ghar  achchhā  rahegā
tū  mālik  ban  kirā.e-dār  kyuuñ  hai
tumhāre  saath  ham  aage  baḌhe  the
hamārī  piiTh  par  talvār  kyuuñ  hai
ḳhudā  se  kyā  raqābat  hai  sanam  kī
rah-e-masjid  nazar  meñ  ḳhaar  kyuuñ  hai
ibārat  meñ  na  kar  tahrīf  bejā
hamāre  naam  se  bezār  kyuuñ  hai
parinde  ko  jo  mauqa  do  dikhā  de
bañdhe  par  kā  safar  lāchār  kyuuñ  hai
paḌosī  ho  to  phal  yā  phuul  laate
tumhāre  haath  meñ  hathiyār  kyuuñ  hai
zamīñ  phailī  huī  hai  āsmāñ  tak
bas  ik  TukḌe  pe  yuuñ  takrār  kyuuñ  hai