mujh  pe  har  zulm  ravā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
mujh  ko  apne  se  judā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
maiñ  ki  maslūb  huuñ  de  mujh  ko  bhī  zālim  kā  ḳhitāb
sunnat-e-īsā  jilā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
mere  ghar  meñ  hai  jo  ġhāsib  to  nikālūñ  ki  nahīñ
mujh  pe  ilzām-e-jafā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
tere  maqtūl  pe  sargarm  haiñ  saare  munsif
merī  lāshoñ  ko  uThā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
garm  aahoñ  pe  hai  ilzām  ki  huuñ  sho.ala-nafas
mujh  ko  phūñkoñ  se  bujhā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
kyuuñ  sahīfoñ  meñ  likhā  hai  ki  milegā  insāf
lafz-o-mānī  na  judā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
terī  zambīl  meñ  har  chaal  purānī  hai  raqīb
mujh  ko  apnoñ  se  laḌā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
apne  virse  se  tirā  qabza  haTānā  hai  harīs
naam  dahshat  ki  balā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
maiñ  ne  āñkhoñ  meñ  jalā  rakhā  hai  āzādī  kā  tel
mat  añdheroñ  se  Darā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
gar  mirā  haq  na  milegā  to  bigaḌ  jā.egī  baat
apne  pahlū  se  lagā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
karbalā  rakh  ke  hathelī  pe  chalā  huuñ  ghar  se
bai.at-e-zulm  haTā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
jab  zamīnoñ  meñ  jaḌeñ  haiñ  to  kidhar  jā.ūñgā
merī  shāḳheñ  na  kaTā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
adl  kī  miTTī  meñ  ugte  nahīñ  dahshat  ke  babūl
apnī  miTTī  ko  safā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ
band  āñkhoñ  se  siyah-rū  nazar  aa.egā  'anīs'
chashm-e-bīnā  ko  khulā  rakh  ki  maiñ  jo  huuñ  so  huuñ