Zafar Ghauri

dil mein rakh zaKHm-e-nawa rah mein kaam aaega

Zafar Ghauri

dil meñ rakh zaḳhm-e-navā raah meñ kaam aa.egā

dasht-e-be-samt meñ ik maqām aa.egā

is tarah paḌhtā huuñ bahte hue dariyā kitāb

saf.ha-e-āb par ik aks-e-payām aa.egā

qarya-e-jāñ meñ the yādoñ ke shanāsā chehre

ajnabī shahr meñ kis kis salām aa.egā

maslahat-kesh to gul-hā-e-satā.ish se lade

sach ke hāthoñ meñ vahī zahr jaam aa.egā

raqs-e-raftār se kyā rauñd chalā phūloñ ko

aag par chal ki tujhe lutf-e-ḳhirām aa.egā

ḳhanjar-e-zahr-e-vafā dil meñ chhupā.e kab se

muntazir huuñ ki idhar vo sar-e-shām aa.egā

dīda-e-dil se 'zafar' ḳhvāb bhī chhin jā.eñge

vaqt kahtā hai ki ab aisā nizām aa.egā

Top Urdushayar.com