sharāb-ḳhāna  tirā  aisā  intiḳhāb  nahīñ  hai
ḳhavās  piite  haiñ  sab  ke  liye  sharāb  nahīñ  hai
shikār  zulm  kā  jo  haiñ  unhīñ  pe  hai  har  shiddat
vo  jo  haiñ  zālim  un  par  koī  itaab  nahīñ  hai
ye  terā  farz  hai  saaqī  mile  sabhī  ko  barābar
hai  terā  mansab  saaqī  koī  ḳhitāb  nahīñ  hai
yahāñ  to  koī  nahīñ  aadmī  sabhī  haiñ  farishte
mire  alāva  yahāñ  par  koī  bhī  ḳharāb  nahīñ  hai
faroġh-e-kaifiyat-e-bāda  se  huā  hai  ye  shādāb
na  paḌh  ye  chehra  mirā  ye  koī  kitāb  nahīñ  hai
sarāb  vāhima  nazroñ  ke  sāmne  maujūd
dhaḌak  rahā  hai  jo  idrāk  meñ  sarāb  nahīñ  hai