dil  meñ  jo  baat  khaTaktī  hai  dahan  tak  pahuñche
ḳhāmushī  marhala-e-arz-e-suḳhan  tak  pahuñche
mahram-e-husn-e-bahārāñ  to  nahīñ  ho  saktī
vo  nazar  sirf  jo  gul-hā-e-chaman  tak  pahuñche
zindagī  naam  isī  mauj-e-mai-e-nāb  kā  hai
mai-kade  se  jo  uThe  dār-o-rasan  tak  pahuñche
gulsitānoñ  kā  ijāra  nahīñ  fasl-e-gul  par
fasl-e-gul  vo  hai  jo  har  dasht-o-daman  tak  pahuñche
ahd  ham  ne  bhī  kiyā  thā  na  mileñge  us  se
bār-hā  ham  bhī  usī  ahd-shikan  tak  pahuñche
baat  kartā  hai  ba-zāhir  baḌī  saada  sī  'kamāl'
jo  suḳhan-var  haiñ  vahī  us  ke  suḳhan  tak  pahuñche