ye  zikr  aa.ine  se  sub.h-o-shām  kis  kā  hai
jo  gungunāte  ho  har-dam  kalām  kis  kā  hai
bhare  hue  haiñ  sabhī  sirf  ek  ḳhālī  hai
agar  ye  merā  nahīñ  hai  to  jaam  kis  kā  hai
jo  ahl-e-zarf  haiñ  pyāse  vahī  haiñ  mahfil  meñ
ye  daur  kis  kā  hai  ye  intizām  kis  kā  hai
hamāre  naam  pe  kyā  kyā  nahīñ  huā  hai  yahāñ
zarā  pata  to  chalāo  nizām  kis  kā  hai
tumhāre  raaz  jo  ifshā  hue  haiñ  duniyā  par
nahīñ  ye  kaam  tumhārā  to  kaam  kis  kā  hai
nishāñ  surāġh  na  ho  ye  tumhārā  tarz-e-ḳhās
ye  qatl-e-ām  magar  tarz-e-ām  kis  kā  hai
'kamāl'  ne  jo  paḌhā  vaqt-e-qatl  maqtal  meñ
sunā  huā  sā  lagā  vo  kalām  kis  kā  hai