jo  mere  dil  meñ  farozāñ  hai  shā.irī  kī  tarah
maiñ  us  ko  DhūñDhtā  phirtā  huuñ  naukrī  kī  tarah
jo  merī  zaat  kā  iz.hār  hai  vo  lafz  abhī
mire  laboñ  pe  sisaktā  hai  ḳhāmushī  kī  tarah
havā  kā  saath  na  de  is  nagar  baras  ke  guzar
maiñ  be-hayāt  huuñ  sūkhī  huī  nadī  kī  tarah
to  lā-zavāl  hai  be-ma.anavīyatoñ  kī  misāl
maiñ  be-sabāt  huuñ  māñgī  huī  hañsī  kī  tarah
na  koī  yaad  milī  hai  na  koī  zaḳhm  bharā
'nisār'  umr  kaTī  hai  musāfirī  kī  tarah