parā.e  logoñ  ne  tai  kar  liyā  safar  merā
ki  mere  paañv  se  lipTā  rahā  hai  ghar  merā
maiñ  umr  bhar  kā  sukūñ  de  ke  bhī  rahā  maqrūz
vo  sūd-ḳhor-e-mohabbat  hai  bār-e-sar  merā
maiñ  terī  umr  ke  har  ruup  kī  amānat  huuñ
ki  pal  rahā  hai  tirī  siip  meñ  guhar  merā
vo  be-sutūñ  bhī  mirī  zaat  jū-e-shīr  bhī  maiñ
mujhe  ujaaḌ  gayā  tesha-e-hunar  merā
vo  merā  ho  ke  bhī  zāhir  nahīñ  huā  mujh  par
ye  iḳhtilāf  rahā  us  se  umr  bhar  merā