shā.irī  merī  tapasyā  lafz  hai  bargad  mirā
ye  zamīñ  saarī  zamīñ  mushfiq  zamīñ  ma.abad  mirā
maiñ  gayā  kī  raushnī  huuñ  maiñ  hirā  kā  nuur  huuñ
tū  fanā  ke  haath  se  kyuuñ  nāptā  hai  qad  mirā
dhyān  ke  gūñge  safar  se  bhī  nikal  jā.ūñ  magar
rāsta  roke  khaḌī  hai  saañs  kī  sarhad  mirā
umr-bhar  sūraj  thā  sar  par  dhuup  thī  merā  libās
ab  ye  ḳhvāhish  hai  ghanī  chhāñv  meñ  ho  marqad  mirā
kah  diyā  thā  maiñ  purānī  soch  kā  shajara  nahīñ
aaj  tak  muñh  dekhte  haiñ  mere  ḳhāl-o-ḳhad  mirā
mujh  se  aage  bhī  haiñ  kuchh  taaza  sadāoñ  ke  alam
maiñ  'zafar'  kā  lāDlā  huuñ  pesh-rau  'amjad'  mirā