ḳhvāhish-e-jāda-e-rāhat  se  nikaltā  kaise
dil  mirā  kū-e-malāmat  se  nikaltā  kaise
sāya-e-vahm-o-gumāñ  chaar  taraf  phailā  hai
maiñ  abhī  karb-o-aziyyat  se  nikaltā  kaise
merī  rusvā.ī  agar  saath  na  detī  merā
yuuñ  sar-e-bazm  maiñ  izzat  se  nikaltā  kaise
merī  nazreñ  jo  na  paḌtīñ  to  vahāñ  pichhlī  shab
ik  sitārā  sā  tirī  chhat  se  nikaltā  kaise
maiñ  ki  barbād  huā  diid  kī  ḳhātir  jis  kī
vo  mire  dīda-e-hairat  se  nikaltā  kaise
us  ke  dam  hī  se  to  qaa.em  hai  mirā  jāh-o-jalāl
vo  mire  dil  kī  hukūmat  se  nikaltā  kaise
jaag  baiThā  huuñ  to  dil  Duubā  nahīñ  hai  'aḳhtar'
soyā  rahtā  to  musībat  se  nikaltā  kaise