yā  to  sūraj  jhuuT  hai  yā  phir  ye  saayā  jhuuT  hai
aañkh  to  is  par  bhī  hairāñ  hai  ki  kyā  kyā  jhuuT  hai
muddatoñ  meñ  aaj  dil  ne  faisla  āḳhir  diyā
ḳhūb-sūrat  hī  sahī  lekin  ye  duniyā  jhuuT  hai
ḳhuun  meñ  shāmil  achhūtī  ḳhushbuoñ  ke  saath  saath
kyuuñ  kahūñ  mujh  meñ  jo  bahtā  hai  vo  dariyā  jhuuT  hai
zindagī  ke  baare  itnā  hī  kahā  sach  jāniye
dasht  meñ  bhaTkā  huā  jaise  bagūlā  jhuuT  hai