merī  apnā.ī  huī  qadroñ  ne  hī  nochā  mujhe
tū  ne  kis  tahzīb  ke  patthar  se  lā  bāñdhā  mujhe
maiñ  ne  sāhil  par  jalā  diiñ  maslahat  kī  kashtiyāñ
ab  kisī  kī  bevafā.ī  kā  nahīñ  khaTkā  mujhe
dast-o-pā  basta  khaḌā  huuñ  pyaas  ke  sahrāoñ  meñ
ai  farāt-e-zindagī  tū  ne  ye  kyā  baḳhshā  mujhe
chand  kirneñ  jo  mire  kaase  meñ  haiñ  un  ke  evaz
shab  ke  darvāze  pe  bhī  denā  paḌā  pahrā  mujhe
sāthiyo  tum  sāhiloñ  par  chain  se  so.e  raho
le  hī  jā.egā  kahīñ  bahtā  huā  dariyā  mujhe