saarī  ḳhilqat  ek  taraf  thī  aur  divāna  ek  taraf
tere  liye  maiñ  paañv  pe  apne  jam  ke  khaḌā  thā  ek  taraf
ek  ik  kar  ke  har  manzil  kī  samt  hī  bhuul  rahā  thā  maiñ
dhīre  dhīre  khīñch  rahā  thā  terā  rishta  ek  taraf
donoñ  se  maiñ  bach  kar  tere  ḳhvāb-o-ḳhayāl  se  guzar  gayā
dil  kā  sahrā  ek  taraf  thā  aañkh  kā  dariyā  ek  taraf
aage  aage  bhaag  rahā  huuñ  ab  vo  mere  pīchhe  hai
ik  din  terī  chaah  meñ  kī  thī  maiñ  ne  duniyā  ek  taraf
dūsrī  jānib  ik  bādal  ne  baḌh  kar  Dhāñp  liyā  thā  chāñd
aur  āñkhoñ  meñ  Duub  rahā  thā  dil  kā  sitārā  ek  taraf
vaqt-juārī  kī  baiThak  meñ  jo  aayā  so  haar  gayā
'aḳhtar'  ik  din  maiñ  bhī  dāman  jhaaḌ  ke  niklā  ek  taraf