zarā  sī  der  thī  bas  ik  diyā  jalānā  thā
aur  is  ke  ba.ad  faqat  āñdhiyoñ  ko  aanā  thā
maiñ  ghar  ko  phūñk  rahā  thā  baḌe  yaqīn  ke  saath
ki  terī  raah  meñ  pahlā  qadam  uThānā  thā
vagarna  kaun  uThātā  ye  jism  o  jaañ  ke  azaab
ye  zindagī  to  mohabbat  kā  ik  bahāna  thā
ye  kaun  shaḳhs  mujhe  kirchiyoñ  meñ  baañT  gayā
ye  aa.ina  to  mirā  āḳhirī  Thikāna  thā
pahāḌ  bhāñp  rahā  thā  mire  irāde  ko
vo  is  liye  bhī  ki  tesha  mujhe  uThānā  thā
bahut  sambhāl  ke  laayā  huuñ  ik  sitāre  tak
zamīn  par  jo  mire  ishq  kā  zamāna  thā
milā  to  aise  ki  sadiyoñ  kī  āshnā.ī  ho!
ta.āruf  us  se  bhī  hālāñki  ġhā.ebāna  thā
maiñ  apnī  ḳhaak  meñ  rakhtā  huuñ  jis  ko  sadiyoñ  se
ye  raushnī  bhī  kabhī  merā  āstāna  thā
maiñ  haath  hāthoñ  meñ  us  ke  na  de  sakā  thā  'shumār'
vo  jis  kī  muTThī  meñ  lamha  baḌā  suhānā  thā