ḳhol  sā  oḌhe  hue  lagte  haiñ  log
baat  kyā  hai  itne  chup  kaise  haiñ  log
band  kamroñ  se  abhī  nikle  haiñ  log
aur  hī  andāz  se  milte  haiñ  log
jis  ko  dekho  hai  vahī  jhulsā  huā
kis  dahaktī  aag  se  nikle  haiñ  log
kaun  kisī  kī  fikr  kartā  hai  yahāñ
apne  apne  jaal  meñ  uljhe  haiñ  log
raushnī  kī  kyuuñ  nahīñ  karte  talāsh
kyuuñ  añdherā  bāñTte  phirte  haiñ  log
manziloñ  kā  zikr  hī  be-sūd  hai
gumrahī  se  mutma.in  lagte  haiñ  log
zahar  piite  haiñ  magar  marte  nahīñ
kuchh  na  pūchho  kaise  kyā  karte  haiñ  log