raah  meñ  yuuñ  to  marhale  haiñ  bahut
ham-safar  phir  bhī  aa  ga.e  haiñ  bahut
ye  alag  baat  ham  na  DhūñDh  sake
varna  manzil  ke  rāste  haiñ  bahut
jin  ko  manzil  na  rāste  kā  pata
aise  rahbar  hameñ  mile  haiñ  bahut
aao  sūraj  ko  chhīn  kar  laa.eñ
ye  añdhere  to  baḌh  ga.e  haiñ  bahut
duur  kī  manzileñ  haiñ  nazroñ  meñ
ab  ke  yāroñ  ke  hausle  haiñ  bahut
ik  junūñ  kā  jo  daur  thā  mujh  par
us  ke  qisse  hī  ban  ga.e  haiñ  bahut
baat  kyā  hai  ki  in  dinoñ  ham  log
sochte  kam  haiñ  bolte  haiñ  bahut