shahr  badlā  huā  sā  lagtā  hai
har  koī  uuprā  sā  lagtā  hai
mujh  ko  aksar  ḳhud  apne  andar  hī
kuchh  bhaTaktā  huā  sā  lagtā  hai
jaane  kyā  baat  hai  ki  ghar  mujh  ko
roz  girtā  huā  sā  lagtā  hai
mujh  ko  har  shaḳhs  apnī  bastī  kā
ḳhud  se  rūThā  huā  sā  lagtā  hai
dard  se  yuuñ  najāt  kab  hogī
vaqt  Thahrā  huā  sā  lagtā  hai
zaḳhm  khaa.e  hue  zamāna  huā
dard  ab  tak  nayā  sā  lagtā  hai
dāstāneñ  haiñ  ḳhuub  sab  kī  magar
apnā  qissa  judā  sā  lagtā  hai