bujh  ga.iiñ  aqloñ  kī  āñkheñ  gal  ga.e  jazboñ  ke  par
kohr  ke  kīchaḌ  meñ  taḌpe  haiñ  parinde  rāt-bhar
jaane  phir  kin  daldaloñ  se  āḳhirī  āvāz  deñ
apnī  be-manshūr  umreñ  apne  be-manzil  safar
mere  bāhar  chār-sū  martī  sadāoñ  kā  sarāb
tū  bikharnā  chāhtā  hai  to  mire  andar  bikhar
tū  kañval  kī  shakl  meñ  phūTegā  apnī  zaat  se
jism  kī  ḳhvāhish  ke  gahre  pāniyoñ  meñ  bhī  utar
phir  mirī  miTTī  meñ  apnī  chāhatoñ  kī  sūñghnā
pahle  merī  saañs  ke  sunsān  jañgal  se  guzar
dil  meñ  'nāsik'  rah  ga.ī  haiñ  aarzū  kī  do  laveñ
ek  ḳhush  aadat  sī  laḌkī  aur  ik  chhoTā  sā  ghar