huī  hai  umr  ki  ḳhurshīd  se  nazar  na  milī
hamāre  hijr  kī  shab  ko  kahīñ  sahar  na  milī
milī  to  un  se  magar  fursat-e-nazar  na  milī
phir  us  ke  ba.ad  ḳhud  apnī  hameñ  ḳhabar  na  milī
tire  karam  se  zamāne  meñ  mujh  ko  kyā  na  milā
nahīñ  milī  to  bas  ik  terī  rahguzar  na  milī
khulā  ye  raaz  ki  nā-pā.edār  hai  duniyā
yahāñ  kisī  se  koī  baat  mo'atabar  na  milī
asīr-e-halqa-e-dām-e-ḳhayāl  hai  ab  tak
vo  bad-nasīb  jise  tāb-e-bāl-o-par  na  milī
ḳhudā  kī  zaat  se  kuchh  munharif  rahe  vo  log
ki  jin  ko  chashm  milī  chahsm-e-haq-nigar  na  milī
kahāñ  kahāñ  tire  jalve  na  āshkār  hue
kahāñ  kahāñ  tire  jalvoñ  se  ye  nazar  na  milī
har  ik  raat  kī  hotī  to  hai  sahar  lekin
hamārī  raat  ko  arsa  huā  sahar  na  milī
ḳhudā  kī  shaan  hai  'sā.ib'  sab  ek  haiñ  lekin
kisī  bashar  se  kahīñ  sūrat-e-bashar  na  milī