ye  ġham  bhī  hai  ki  tere  pyaar  kā  da.avā  nahīñ  kartā
ḳhushī  bhī  hai  ki  apne-āp  se  dhokā  nahīñ  kartā
agar  maiñ  ne  tujhe  duniyā  pe  qurbāñ  kar  diyā  to  kyā
yahāñ  insān  jiine  ke  liye  kyā  kyā  nahīñ  kartā
jo  un  sone  kī  dahlīzoñ  pe  jā  kar  ḳhatm  hotī  haiñ
maiñ  un  galiyoñ  se  ab  terā  pata  pūchhā  nahīñ  kartā
vo  jis  par  tū  ne  do  dil  ek  nāvak  se  guzāre  the
maiñ  ab  us  peḌ  ke  saa.e  meñ  bhī  baiThā  nahīñ  kartā
maiñ  apne-āp  ko  DhūñDūñgā  apnī  shakl  ke  andar
maiñ  apnī  be-dilī  kā  aa.ina  mailā  nahīñ  kartā
maiñ  apne  jism  ke  sāhil  pe  terī  aarzū  likkhūñ
yaqīñ  ho  gar  ki  paanī  ret  se  guzrā  nahīñ  kartā