sukūn-e-dil  ho  magar  tum  bachā  sake  na  mujhe
dalīl-e-dard-e-jigar  tum  bachā  sake  na  mujhe
tumhī  safīna  tumhī  nā-ḳhudā  tumhī  sāhil
maiñ  Dūbtā  huuñ  magar  tum  bachā  sake  na  mujhe
kisī  ke  dast-e-shifā  kaise  mere  kaam  aa.eñ
mire  tabīb  agar  tum  bachā  sake  na  mujhe
huuñ  shab-gazīda  ġham-e-dil  bichhaḌ  ga.e  tum  bhī
mire  sharīk-e-safar  tum  bachā  sake  na  mujhe
lage  haiñ  dil  pe  mire  chārasāz  tīr-e-balā
tumhī  the  sīna-sipar  tum  bachā  sake  na  mujhe
koī  na  dekh  sakā  hai  mirā  ye  soz-e-darūñ
tumhī  the  ahl-e-nazar  tum  bachā  sake  na  mujhe
parā.ī  aag  meñ  andar  se  jal  rahā  huuñ  maiñ
mire  chīnār-shajar  tum  bachā  sake  na  mujhe