dasht  aise  gulshan  meñ  gul  pe  gul  khilāne  kī  har  adā  mubārak  ho
nannhe-munhe  ġhunchoñ  se  ḳhud-kushī  karāne  kā  mashġhala  mubārak  ho
par-burīda  bulbul  ne  jis  jagah  bhī  tinkoñ  se  ghoñsle  banā.e  the
vo  chaman  jalāne  ko  ab  bhī  tere  hāthoñ  meñ  sā.iqa  mubārak  ho
tū  ne  jin  bechāroñ  ke  kam-sinoñ  kī  lāshoñ  par  pā-e-taḳht  rakkhe  haiñ
un  ke  jism-e-uryāñ  par  tere  jabr-e-be-jā  kā  dabdaba  mubārak  ho
ḳhuun  bahā  chukā  ab  tak  to  javāñ  parindoñ  kā  chaaT  lag  chukī  tujh  ko
ab  se  shīr-ḳhvāroñ  ke  taaza  ḳhūn-e-arzāñ  kā  zā.iqa  mubārak  ho
sūfiyoñ  buzurgoñ  ne  naqsh-e-pā  jo  chhoḌe  the  sab  miTā  diye  tū  ne
vaqt  ke  darinde  ab  kusht-o-ḳhūn  kā  ik  ik  rāsta  mubārak  ho
jabr-e-mujrimāna  se  tū  chaman  pe  qābiz  hai  ab  bhī  tasfiya  kar  le
varna  gulsitāñ  terā  kal  jahāñ  ke  naqshe  par  sar  kaTā  mubārak  ho