be-basar  āfāt  se  taklīf  hotī  hai  mujhe
sar-phire  hālāt  se  taklīf  hotī  hai  mujhe
jo  mire  dushman  ko  samjhā  kar  ga.ī  kam-zarf  hai
ya.anī  kis  kis  baat  se  taklīf  hotī  hai  mujhe
aaj  bairūn-e-qafas  sayyād  kī  parvā  nahīñ
aap  apnī  zaat  se  taklīf  hotī  hai  mujhe
jashn  kar  merī  tabāhī  par  koī  shikva  nahīñ
bas  tirī  auqāt  se  taklīf  hotī  hai  mujhe
ham-nashīnī  se  tirī  har  shab  bahut  shīrīn  thī
juz  tire  ab  raat  se  taklīf  hotī  hai  mujhe
zulm  kā  aadī  huuñ  zanjīrī  mirī  pahchān  hai
ḳhud  lagā.ī  ghaat  se  taklīf  hotī  hai  mujhe