mujhe  sambhāl  mirā  haath  thaam  kar  le  jā
thakā  huā  huuñ  ka.ī  din  kā  mujh  ko  ghar  le  jā
giraft-e-gul  se  nikal  kar  bikhartā  jaatā  huuñ
mujhe  havā  ke  paroñ  meñ  sameT  kar  le  jā
jahāñ  se  maañg  mire  naam  par  hayāt  kī  bhiik
tū  merā  kāsa-e-ehsās  dar-ba-dar  le  jā
jahān-e-past  ko  phir  dekhne  kī  ḳhvāhish  hai
shu.ūr-e-ġham  mujhe  ġham  ke  pahāḌ  par  le  jā
ab  us  se  aage  har  ik  moḌ  par  añdherā  hai
tū  apne  saath  mire  pyaar  kī  sahar  le  jā
tū  jis  kī  raah  meñ  royā  hai  umr  bhar  'nāsik'
vo  sub.h  raakh  huī  apnī  jholī  bhar  le  jā