is  se  pahle  ki  mujhe  vaqt  alāhida  rakh  de
mere  hoñToñ  pe  mire  naam  kā  bosa  rakh  de
halq  se  ab  to  utartā  nahīñ  ashkoñ  kā  namak
ab  kisī  aur  kī  gardan  pe  ye  duniyā  rakh  de
raushnī  apnī  shabāhat  hī  bhulā  de  na  kahīñ
apne  sūraj  ke  sirhāne  mirā  saaya  rakh  de
tū  kahāñ  le  ke  phiregī  mirī  taqdīr  kā  bojh
merī  palkoñ  pe  shab-e-hijr  ye  taarā  rakh  de
mujh  se  le  le  mire  qistoñ  pe  ḳharīde  hue  din
mere  lamhe  meñ  mirā  saarā  zamāna  rakh  de
ham  jo  chalte  haiñ  to  ḳhud  bantā  chalā  jaatā  hai
laakh  miTTī  meñ  chhupā  kar  koī  rasta  rakh  de
ham  ko  āzādī  milī  bhī  to  kuchh  aise  'nāsik'
jaise  kamre  se  koī  sehn  meñ  piñjra  rakh  de