Zakir Khan Zakir

KHwab-nagar ke shahzade ne aise bhi nirwan liya

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975

ḳhvāb-nagar ke shahzāde ne aise bhī nirvān liyā

chāñd sajāyā āñkhoñ meñ aur raat ko sar par taan liyā

duniyā-dārī khel-tamāsha ishq-o-mohabbat rāhat-e-jāñ

aag meñ apnī jal kar ham ne ban bargad ye gyaan liyā

vo āñkheñ aisī thiiñ ham Duub ga.e anjāne meñ

jaan ke kis ne TūTī-phūTī kashtī meñ tūfān liyā

kaun pardā ham se thā tum dil bāteñ kah sakte the

muft meñ tum ne baat baḌhā.ī ġhairoñ ehsān liyā

hirs-o-havas daur hai is meñ bikte haiñ sab rishte-nāte

jaan pe apnī kyuuñ kar tum ne auroñ bohtān liyā

vāqif kab thā pyaar se pahle lekin 'zākir' pyaar ke ba.ad

qismat rekhā husn-o-adā aur nāz-o-jafā sab jaan liyā

Top Urdushayar.com