Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

na falak hoga na ye kucha-e-qatil hoga

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952
na falak hogā na ye kūcha-e-qātil hogā
mire kahne meñ kisī din jo mirā dil hogā
jab numāyāñ vo savār-e-rah-e-manzil hogā
na to maiñ aap meñ hūñgā na mirā dil hogā
aadhī raat aa ga.ī bas bas dil-e-betāb sambhal
ham samajhte haiñ jo is karb kā hāsil hogā
ruḳhsat ai vahshat-e-tanhā.ī-o-ġhurbat ruḳhsat
ḳhauf hī kyā hai jo hamrāh mire dil hogā
raat kā ḳhvāb nahīñ jis kī har ik de ta.abīr
ye vo armān hai puurā jo ba-mushkil hogā
terā kyā zikr hai zindāñ kī hilegī dīvār
nāla-kash jab koī pāband-e-salāsil hogā
Taal diiñ maiñ ne ye kah kah ke zideñ bachpan kī
aa.ina bhī koī shai hai jo muqābil hogā
Dūbne jā.egā shāyad koī māyūs visāl
majma-e-ām sunā hai lab-e-sāhil hogā
chaud.hvāñ saal use detā hai muzhda 'ālim'
le mubārak ho ki ab tū mah-e-kāmil hogā
Top Urdushayar.com