zamāna  merī  tabāhī  pe  jo  udaas  huā
maiñ  apne  aap  se  ai  dost  rū-shanās  huā
mire  ḳhulūs  ke  phūloñ  se  jo  uḌī  ḳhushbū
tumhāre  tanz  kā  mausam  bhī  bad-havās  huā
jamāl-e-sehn-e-gulistāñ  hamīñ  se  qaa.em  hai
hamāre  ḳhuun  se  har  phuul  ḳhush-libās  huā
akelā  peḌ  hī  mausam  kā  vaar  sahtā  rahā
shikasta-barg  bhī  koī  na  ās-pās  huā
kabhī  jo  TuuTā  sitāra  kisī  ko  aayā  nazar
to  bazm-e-ġhair  meñ  merā  hī  zikr-e-ḳhās  huā
safīr-e-sub.h-e-daraḳhshāñ  chalā  jo  mashriq  se
dayār-e-shab  kā  shahanshāh  bad-havās  huā