ġhuncha  ġhuncha  mausam-e-rañg-e-adā  meñ  qaid  thā
dil  vo  nādāñ  thā  ki  apnī  hī  anā  meñ  qaid  thā
aañkh  kī  momī  galī  pyāsī  thī  pyāsī  hī  rahī
shabnamī  bādal  zamāne  kī  havā  meñ  qaid  thā
be-ruḳhī  kī  ghar  kī  dīvāroñ  pe  thī  chūnā-kalī
zarra  zarra  ajnabiyyat  kī  fazā  meñ  qaid  thā
āsmāñ  ke  taaq  par  sajte  rahe  ik  ik  charāġh
maiñ  zamīñ  kā  chāñd  apne  hī  ḳhalā  meñ  qaid  thā
raat  ke  ifrīt  ne  shab-ḳhūn  maarā  be-tarah
kārvān-e-sub.h  zanjīr-e-duā  meñ  qaid  thā
kaun  thā  vo  jis  ne  apne  ḳhuun  se  likkhā  thā  ḳhat
kis  ke  dil  kā  rañg  is  barg-e-hinā  meñ  qaid  thā
aañkh  ke  āñgan  se  ḳhvāboñ  kā  parinda  uḌ  gayā
raat  bhar  'shāhīn'  yādoñ  kī  chitā  meñ  qaid  thā