Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

ulfat-e-ariz-e-laila mein pareshan nikla

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952
ulfat-e-āriz-e-lailā meñ pareshāñ niklā
qais mānind-e-sahar chāk-garebāñ niklā
ban ga.e ḳhuub hadaf us sitam-ījād ke aap
lījiye hazrat-e-dil aaj to armāñ niklā
na huī tāqat-e-nazzāra kisī āshiq ko
shola-e-husn hijāb-e-ruḳh-e-jānāñ niklā
aa ga.ī sadma-e-furqat se ajal āshiq kī
hijr-e-mahbūb firāq-e-jasad-o-jāñ niklā
ruuh ne ḳhāna-e-tan chhoḌ diyā āḳhir-kār
mezbāñ ham jise samjhe the vo mehmāñ niklā
sāf-dil bahr-e-jahāñ meñ nahīñ rakhte daulat
chashma-e-mahr se kab gauhar-e-ġhaltāñ niklā
tū vo hai husn meñ yaktā ki tajassus meñ tire
āsmāñ le ke charāġh-e-mah-e-tābāñ niklā
vo parī-rū huā qismat se mirī merā mutī.a
ḳhat-e-taqdīr ḳhat-e-mohr-e-sulaimāñ niklā
mere marne se hue saikḌoñ armān shahīd
'ālim' anjām meñ dil ganj-e-shahīdāñ niklā
Top Urdushayar.com