Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

nuh ka tufan ek aansu se barpa kijiye

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1952

nuuh tūfān ik aañsū se barpā kījiye

meñ aatā hai ki ab qatre ko dariyā kījiye

be-ḳhabar ban jā.iye ahd puurā kījiye

jis tarah se aap chāhe achchhā kījiye

īsī-e-daurāñ sahī lekin koī shāhid bhī ho

ham abhī to uTheñge aap ishārā kījiye

ho chukā honā thā jo kuchh jā.iye bas jā.iye

marne vaale ko na ab lillāh rusvā kījiye

phir zarā jhalkī dikhā kar ik zarā chhup jā.iye

dil ke har zarre meñ ābād ek duniyā kījiye

dil hamārā hai ham is ke haiñ azal se rāz-dār

aap ḳhud aa kar sar-e-bāzār rusvā kījiye

kaun kahtā hai ki in qissoñ ko phir dohrā.iye

dil ābādī miTā kar zikr-e-sahrā kījiye

rāzdārī ishq meñ 'ālim' nahīñ chhoTī baat

dil dil meñ sochtā rahtā huuñ ab kyā kījiye

Top Urdushayar.com