garm-joshī  ke  nagar  meñ  sard-tanhā.ī  milī
chāñdnī  us  paikar-e-ḳhākī  ko  gahnā.ī  milī
bujh  gayā  phir  shaam  ke  sahrā  meñ  sūraj  kā  ḳhayāl
phir  mah-o-anjum  ko  jī  uThne  kī  rusvā.ī  milī
phir  koī  misl-e-sabā  aayā  hai  sahn-e-ḳhvāb  meñ
phir  mire  har  zaḳhm  ko  yādoñ  kī  purvā.ī  milī
ik  purāne  naqsh  ke  mānind  sūraj  bujh  gayā
shab  ke  shāne  par  sitāroñ  kī  ghaTā  chhā.ī  milī
ḳhūb-sūrat  aañkh  ko  ik  jhiil  samjhā  thā  magar
tairne  utrā  to  sāgar  kī  sī  gahrā.ī  milī
phir  fazā  meñ  rach  ga.ī  hai  zaḳhm-e-tāza  kī  mahak
phir  mirī  palkoñ  ko  'shāhīn-badr'  goyā.ī  milī