Shaheen Badr

ahl-e-duniya ke liye ye majra hai muKHtalif

Shaheen Badr

ahl-e-duniyā ke liye ye mājrā hai muḳhtalif
pattharoñ ke shahr meñ ek aa.ina hai muḳhtalif
mere bachche kitne hairāñ haiñ ki in ke vāste
pesh-rau ke naqsh-e-pā kā silsila hai muḳhtalif
Doltī hai saañs ke tūfāñ meñ kashtī ziist kī
bādbānī ke liye ab ke havā hai muḳhtalif
sā.atoñ kī dhuup ne jab bhī tasallī dī ghanī
qadd-o-qāmat apne saa.e kā milā hai muḳhtalif
chun leñ āñkhoñ se hamārī niiñd kī sab kirchiyāñ
vaqt ke gūñge qabīle kī sazā hai muḳhtalif
dekhiye to sabz khetoñ meñ shuāoñ kā hai raqs
sochiye to mausam-e-rañg-e-adā hai muḳhtalif
chashm-e-hairat se na yuuñ dekhā kareñ 'shāhīn-badr'
mausam-e-iḳhlās kī ThanDī havā hai muḳhtalif
Top Urdushayar.com