ahl-e-duniyā  ke  liye  ye  mājrā  hai  muḳhtalif
pattharoñ  ke  shahr  meñ  ek  aa.ina  hai  muḳhtalif
mere  bachche  kitne  hairāñ  haiñ  ki  in  ke  vāste
pesh-rau  ke  naqsh-e-pā  kā  silsila  hai  muḳhtalif
Doltī  hai  saañs  ke  tūfāñ  meñ  kashtī  ziist  kī
bādbānī  ke  liye  ab  ke  havā  hai  muḳhtalif
sā.atoñ  kī  dhuup  ne  jab  bhī  tasallī  dī  ghanī
qadd-o-qāmat  apne  saa.e  kā  milā  hai  muḳhtalif
chun  leñ  āñkhoñ  se  hamārī  niiñd  kī  sab  kirchiyāñ
vaqt  ke  gūñge  qabīle  kī  sazā  hai  muḳhtalif
dekhiye  to  sabz  khetoñ  meñ  shuāoñ  kā  hai  raqs
sochiye  to  mausam-e-rañg-e-adā  hai  muḳhtalif
chashm-e-hairat  se  na  yuuñ  dekhā  kareñ  'shāhīn-badr'
mausam-e-iḳhlās  kī  ThanDī  havā  hai  muḳhtalif