bahut  hasīñ  thī  kabhī  ye  duniyā  mire  mutābiq
magar  rahā  ab  na  us  kā  chehra  mire  mutābiq
maiñ  is  liye  ik  daraḳht  se  baat  kar  rahī  huuñ
rahegā  chup  yā  javāb  degā  mire  mutābiq
tire  likhe  ko  ġhalat  nahīñ  kah  rahī  maiñ  lekin
savāl  ye  hai  ki  kyoñ  na  likkhā  mire  mutābiq
yahāñ  pe  sab  mere  ḳhānvāde  se  āshnā  haiñ
mirā  ta.āruf  na  ho  sakegā  mire  mutābiq
tire  mutābiq  maiñ  terī  rūdād  sun  chukī  huuñ
nahīñ  hai  kirdār  us  meñ  merā  mire  mutābiq
nikāl  de  tū  hī  merī  āñkhoñ  kī  sūiyāñ  ab
na  aa.egā  koī  shāhzāda  mire  mutābiq
maiñ  gungunātī  faqat  tirā  naam  us  kī  lai  par
magar  ye  kam-baḳht  dil  na  dhaḌkā  mire  mutābiq