Neelam Malik

ye nili aanch ya nilam-pari hai

Neelam Malik

Lahore, Punjab, Pakistan

ye niilī aañch yā nīlam-parī hai
havā kī taan par jo jhūmtī hai
mirā kamra misāl-e-dasht-e-vahshat
jahāñ ram-ḳhurda hirnī kho ga.ī hai
uḌā phirtā hai panchhī canvas par
musavvir kī ajab sūrat-garī hai
talab meñ qatra-e-naisāñ kī be-dam
sar-e-sāhil koī siipī paḌī hai
vahāñ thā aaj gul khulne kā imkāñ
jahāñ kal raat hī bijlī girī hai
jahāñ par dhuup din likh kar ga.ī thī
vahāñ ab raat ne kālak malī hai
guzāra is pe bhī kar to rahe haiñ
magar tū hī batā ye zindagī hai
hai is meñ tūl-e-shām-e-ġham kā qissa
jo ye bālisht bhar kī Diary hai
mayassar hai suḳhan-dānoñ kī sohbat
tabhī achchhī ġhazal-kārī huī hai
Top Urdushayar.com