ġhair  ke  ghar  sahī  vo  aayā  to
ġham  hī  mere  liye  vo  laayā  to
dushmanoñ  ko  muaaf  kar  Daalā
dostoñ  se  fareb  khāyā  to
peḌ  ke  ghoñsloñ  kā  kyā  hogā
ghar  use  kaaT  kar  banāyā  to
phir  mire  sāmne  thī  ik  dīvār
ek  dīvār  ko  girāyā  to
kis  qadar  zor  se  huī  bārish
maiñ  ne  kāġhaz  kā  ghar  banāyā  to
kyā  karoge  'na.īm'  sāl-e-nau
pesh-rau  kī  tarah  hī  aayā  to