kyā  bachā.ūñ  tujhe  kyā  luTā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
ḳhud  pe  oḌhūñ  ki  nīche  bichhā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
zarra  zarra  bikhar  kar  bhī  āḳhir  tujhe  ḳhatm  honā  to  hai
kyuuñ  na  yak-dam  havā  meñ  uḌā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
terī  khetī  pe  merā  guzāra  nahīñ  bhuuk  miTtī  nahīñ
jī  meñ  aatā  hai  maiñ  bech  khā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
khīñchne  kā  jo  va.ada  kare  saañs  ko  vasl  ke  pul  talak
qissa-e-tūl-e-hijrāñ  sunā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
tujh  se  aglī  taraf  maut  kī  vus.at-e-be-karāñ  maujzan
tū  hai  dīvār  sī  chal  girā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
chaar  din  kī  hai  mehmāñ  mire  paas  tū  mujh  se  rūThā  na  kar
naaz  tere  uThā.ūñ  manā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī
ain  mumkin  hai  tū  phail  jaa.e  yūñhī  vus.at-e-jism  meñ
rog  kī  tarah  dil  se  lagā.ūñ  tujhe  muḳhtasar  zindagī