Habib Jalib

dushmanon ne jo dushmani ki hai

Habib Jalib

Hoshiarpur, Punjab, India

1929-1993
dushmanoñ ne jo dushmanī kī hai
dostoñ ne bhī kyā kamī kī hai
ḳhāmushī par haiñ log zer-e-itāb
aur ham ne to baat bhī kī hai
mutma.in hai zamīr to apnā
baat saarī zamīr hī kī hai
apnī to dāstāñ hai bas itnī
ġham uThā.e haiñ shā.erī kī hai
ab nazar meñ nahīñ hai ek hī phuul
fikr ham ko kalī kalī kī hai
pā sakeñge na umr bhar jis ko
justujū aaj bhī usī kī hai
jab mah-o-mahr bujh ga.e 'jālib'
ham ne ashkoñ se raushnī kī hai
Top Urdushayar.com