tū  rañg  hai  ġhubār  haiñ  terī  galī  ke  log
to  phuul  hai  sharār  haiñ  terī  galī  ke  log
to  raunaq-e-hayāt  hai  to  husn-e-kā.enāt
ujḌā  huā  dayār  haiñ  terī  galī  ke  log
tū  paikar-e-vafā  hai  mujassam  ḳhulūs  hai
badnām-e-rozgār  haiñ  terī  galī  ke  log
raushan  tire  jamāl  se  haiñ  mehr-o-māh  bhī
lekin  nazar  pe  baar  haiñ  terī  galī  ke  log
dekho  jo  ġhaur  se  to  zamīñ  se  bhī  past  haiñ
yuuñ  āsmāñ-shikār  haiñ  terī  galī  ke  log
phir  jā  rahā  huuñ  tere  tabassum  ko  luuT  kar
har-chand  hoshiyār  haiñ  terī  galī  ke  log
kho  jā.eñge  sahar  ke  ujāloñ  meñ  āḳhirash
sham.a  sar-e-mazār  haiñ  terī  galī  ke  log