chashm-e-tar  le  ke  jo  us  ghar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
sab  badal  jaa.e  jo  manzar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
zindagī  mujh  pe  musallat  hai  kisī  Dar  kī  tarah
kaise  jī  pā.ūñ  jo  is  Dar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
maiñ  yahāñ  qaid  huuñ  mūrat  kī  tarah  sañg-tarāsh
tū  agar  chāhe  to  patthar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
phir  to  aage  ka.ī  nadiyāñ  ka.ī  chashme  hoñge
bas  shab-o-roz  ke  asthar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
ḳhair  mujh  ko  jo  pukāre  kabhī  bāhar  kī  taraf
apne  andar  ke  har  ik  shar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
dil-e-yaktā  jo  mirā  saath  gavārā  hī  nahīñ
ruuh  ban  kar  tire  paikar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ
jism  zindāñ  hī  sahī  soch  magar  bāra-darī
jis  taraf  chāhūñ  kisī  dar  se  nikal  jā.ūñ  maiñ