ham  ne  sunā  thā  sahn-e-chaman  meñ  kaif  ke  bādal  chhā.e  haiñ
ham  bhī  ga.e  the  jī  bahlāne  ashk  bahā  kar  aa.e  haiñ
phuul  khile  to  dil  murjhā.e  sham.a  jale  to  jaan  jale
ek  tumhārā  ġham  apnā  kar  kitne  ġham  apnā.e  haiñ
ek  sulagtī  yaad  chamaktā  dard  farozāñ  tanhā.ī
pūchh  na  us  ke  shahr  se  ham  kyā  kyā  sauġhāteñ  laa.e  haiñ
so.e  hue  jo  dard  the  dil  meñ  aañsū  ban  kar  bah  nikle
raat  sitāroñ  kī  chhāñv  meñ  yaad  vo  kyā  kyā  aa.e  haiñ
aa.e  bhī  sūraj  Duub  gayā  be-nūr  ufuq  ke  sāgar  meñ
aaj  bhī  phuul  chaman  meñ  tujh  ko  bin  dekhe  murjhā.e  haiñ
ek  qayāmat  kā  sannāTā  ek  balā  kī  tārīkī
un  galiyoñ  se  duur  na  hañstā  chāñd  na  raushan  saa.e  haiñ
pyaar  kī  bolī  bol  na  'jālib'  is  bastī  ke  logoñ  se
ham  ne  sukh  kī  kaliyāñ  kho  kar  dukh  ke  kāñTe  paa.e  haiñ