karāhte  hue  insān  kī  sadā  ham  haiñ
maiñ  sochtā  huuñ  mirī  jaan  aur  kyā  ham  haiñ
jo  aaj  tak  nahīñ  pahuñchī  ḳhudā  ke  kānoñ  tak
sar-e-dayār-e-sitam  āh-e-nā-rasā  ham  haiñ
tabāhiyoñ  ko  muqaddar  samajh  ke  haiñ  ḳhāmosh
hamārā  ġham  na  karo  dard-e-lā-davā  ham  haiñ
kahāñ  nigah  se  guzarte  haiñ  dukh  bhare  dihāt
hasīn  shahroñ  ke  hī  ġham  meñ  mubtalā  ham  haiñ