vatan  ko  kuchh  nahīñ  ḳhatra  nizām-e-zar  hai  ḳhatre  meñ
haqīqat  meñ  jo  rahzan  hai  vahī  rahbar  hai  ḳhatre  meñ
jo  baiThā  hai  saf-e-mātam  bichhā.e  marg-e-zulmat  par
vo  nauhagar  hai  ḳhatre  meñ  vo  dānish-var  hai  ḳhatre  meñ
agar  tashvīsh  lāhaq  hai  to  sultānoñ  ko  lāhaq  hai
na  terā  ghar  hai  ḳhatre  meñ  na  merā  ghar  hai  ḳhatre  meñ
jahāñ  'iqbāl'  bhī  nazr-e-ḳhat-e-tansīḳh  ho  'jālib'
vahāñ  tujh  ko  shikāyat  hai  tirā  jauhar  hai  ḳhatre  meñ