chuur  thā  zaḳhmoñ  se  dil  zaḳhmī  jigar  bhī  ho  gayā
us  ko  rote  the  ki  suunā  ye  nagar  bhī  ho  gayā
log  usī  sūrat  pareshāñ  haiñ  jidhar  bhī  dekhiye
aur  vo  kahte  haiñ  koh-e-ġham  to  sar  bhī  ho  gayā
bām-o-dar  par  hai  musallat  aaj  bhī  shām-e-alam
yuuñ  to  in  galiyoñ  se  ḳhurshīd-e-sahar  bhī  ho  gayā
us  sitamgar  kī  haqīqat  ham  pe  zāhir  ho  ga.ī
ḳhatm  ḳhush-fahmī  kī  manzil  kā  safar  bhī  ho  gayā