sher  se  shā.irī  se  Darte  haiñ
kam-nazar  raushnī  se  Darte  haiñ
log  Darte  haiñ  dushmanī  se  tirī
ham  tirī  dostī  se  Darte  haiñ
dahr  meñ  āh-e-be-kasāñ  ke  sivā
aur  ham  kab  kisī  se  Darte  haiñ
ham  ko  ġhairoñ  se  Dar  nahīñ  lagtā
apne  ahbāb  hī  se  Darte  haiñ
dāvar-e-hashr  baḳhsh  de  shāyad
haañ  magar  maulvī  se  Darte  haiñ
rūThtā  hai  to  ruuTh  jaa.e  jahāñ
un  kī  ham  be-ruḳhī  se  Darte  haiñ
har  qadam  par  hai  mohtasib  'jālib'
ab  to  ham  chāñdnī  se  Darte  haiñ