us  ra.ūnat  se  vo  jiite  haiñ  ki  marnā  hī  nahīñ
taḳht  par  baiThe  haiñ  yuuñ  jaise  utarnā  hī  nahīñ
yuuñ  mah-o-anjum  kī  vaadī  meñ  uḌe  phirte  haiñ  vo
ḳhaak  ke  zarroñ  pe  jaise  paañv  dharnā  hī  nahīñ
un  kā  da.avā  hai  ki  sūraj  bhī  unhī  kā  hai  ġhulām
shab  jo  ham  par  aa.ī  hai  us  ko  guzarnā  hī  nahīñ
kyā  ilaaj  us  kā  agar  ho  mudda.ā  un  kā  yahī
ehtimām  rañg-o-bū  gulshan  meñ  karnā  hī  nahīñ
zulm  se  haiñ  barsar-e-paikār  āzādī-pasand
un  pahāḌoñ  meñ  jahāñ  par  koī  jharnā  hī  nahīñ
dil  bhī  un  ke  haiñ  siyah  ḳhūrāk-e-zindāñ  kī  tarah
un  se  apnā  ġham  bayāñ  ab  ham  ko  karnā  hī  nahīñ
intihā  kar  leñ  sitam  kī  log  abhī  haiñ  ḳhvāb  meñ
jaag  uTThe  jab  log  to  un  ko  Thaharnā  hī  nahīñ