hujūm  dekh  ke  rasta  nahīñ  badalte  ham
kisī  ke  Dar  se  taqāzā  nahīñ  badalte  ham
hazār  zer-e-qadam  rāsta  ho  ḳhāroñ  kā
jo  chal  paḌeñ  to  irāda  nahīñ  badalte  ham
isī  liye  to  nahīñ  mo'tabar  zamāne  meñ
ki  rañg-e-sūrat-e-duniyā  nahīñ  badalte  ham
havā  ko  dekh  ke  'jālib'  misāl-e-ham-asrāñ
bajā  ye  zom  hamārā  nahīñ  badalte  ham