ḳhuub  āzādī-e-sahāfat  hai
nazm  likhne  pe  bhī  qayāmat  hai
da.avā  jamhūriyat  kā  hai  har-ān
ye  hukūmat  bhī  kyā  hukūmat  hai
dhāñdlī  dhoñs  kī  hai  paidāvār
sab  ko  ma.alūm  ye  haqīqat  hai
ḳhauf  ke  zehn-o-dil  pe  saa.e  haiñ
kis  kī  izzat  yahāñ  salāmat  hai
kabhī  jamhūriyat  yahāñ  aa.e
yahī  'jālib'  hamārī  hasrat  hai