dil  vaalo  kyuuñ  dil  sī  daulat  yuuñ  be-kār  luTāte  ho
kyuuñ  is  añdhiyārī  bastī  meñ  pyaar  kī  jot  jagāte  ho
tum  aisā  nādān  jahāñ  meñ  koī  nahīñ  hai  koī  nahīñ
phir  in  galiyoñ  meñ  jaate  ho  pag  pag  Thokar  khāte  ho
sundar  kaliyo  komal  phūlo  ye  to  batāo  ye  to  kaho
āḳhir  tum  meñ  kyā  jaadū  hai  kyuuñ  man  meñ  bas  jaate  ho
ye  mausam  rim-jhim  kā  mausam  ye  barkhā  ye  mast  fazā
aise  meñ  aao  to  jāneñ  aise  meñ  kab  aate  ho
ham  se  ruuTh  ke  jaane  vaalo  itnā  bhed  batā  jaao
kyuuñ  nit  raato  ko  sapnoñ  meñ  aate  ho  man  jaate  ho
chāñd-sitāroñ  ke  jhurmuT  meñ  phūloñ  kī  muskāhaT  meñ
tum  chhup-chhup  kar  hañste  ho  tum  ruup  kā  maan  baḌhāte  ho
chalte  phirte  raushan  raste  tārīkī  meñ  Duub  ga.e
so  jaao  ab  'jālib'  tum  bhī  kyuuñ  āñkheñ  sulgāte  ho